Qari Nisar Akhtar Nizami Naat Lyrics
Mere nabi ne itna nawaza Naat Lyrics
Mere nabi ne itna nawaza,
ke jhuk gaye sar shukraane main.
Sunte hain ke mehshar main sirf un ki rasayi hai,
gar unki rasai hai, lo jab to ban aayi hai.
Mere nabi ne itna nawaza,
ke jhuk gaye sar shukraane main.
Mujrim ko na sharmao ahbaab kafan dhak do,
muh dekh ke kya hoga, parde mai bhalayi hai.
Mere nabi ne itna nawaza,
ke jhuk gaye sar shukraane main,
Jahan baani ataa kar den bhari jannat hiba kar den,
Nabi Mukhtaare kul hain Jisko jo chahen ataa kar den.
Mere nabi ne itna nawaza
ke jhuk gaye sar shukraane main,
To lamha lamha guzre mera
unki naat sunane mai,
Mere nabi ne itna nawaza.
Ye deen na badlega Iman na badlega,
Tum Lakh karo koshish Qur'aan na badlega.
Mere nabi ne itna nawaza,
ke jhuk gaye sar shukraane main.
This Naat's YouTube Link - Click here
Comments
Post a Comment