Asad Iqbal Naat Lyrics

Sar banaya gaya bandagi ke liye, Naat Lyrics

Wallah wallah wallah wallah wallah wallah

1-Sar banaya gaya bandagi ke liye,
   dil banaya gaya aashiqi ke liye.

Wallah wallah wallah wallah wallah wallah

2-Naate sarkaar ko chhodna maut hai,
   naat parhte raho zindagi ke liye.

Wallah wallah wallah wallah wallah wallah

3-Naat aasa(n) nahi naat aasa(n) bhi hai,
   aashiqi chahiye shayri ke liye.

Wallah wallah wallah wallah wallah wallah

4-Maqsade mal-o-daulat nahi hai mera,
   naat parhta hun unki khushi ke liye.

Wallah wallah wallah wallah wallah wallah

5-Rabbe kaaba ne sunni banaya hamein,
   take ham jaan de de(n) nabi ke liye.

Wallah wallah wallah wallah wallah wallah

6-Aye zamane tujhe dil na dunga kabhi,
   dil to rakkha hai ye sanjari ke liye.

Wallah wallah wallah wallah wallah wallah

7-Mal-o-daulat ki kya hai haqeeqat bhala,
   jaan haazir hai ye azhari ke liye.

Wallah wallah wallah wallah wallah wallah

8-Aashiqe mustafa ki ajab shaan hai,
   baabe kaaba khula azhari ke liye.

Wallah wallah wallah wallah wallah wallah

9-Sunni razvi ko dunya ne samjha nahi,
   ek kaafi hai sau padri ke liye.
 
Wallah wallah wallah wallah wallah wallah


This Naat's Youtube Link- Click here

Comments

Post a Comment